Pyase HonTon Se Jab Koi Jhil Na Boli Babu-ji

pyase honTon se jab koi jhil na boli babu-ji

hum ne apne hi aansu se aankh bhigo li babu-ji

phir koi kala sapna tha palkon ke darwazon par

hum ne yun hi Dar ke mare aankh na kholi babu-ji

bhule se jaane-anjaane war na karna tum un par

jin jin ke kandhon par hai ye prit ki Doli babu-ji

ye mat puchho is duniya ne kaun se ab tyauhaar diye

di hum ko andhi diwali KHun ki holi babu-ji

dil nikle hi mehnat ke ghar hath jo hum ne bheje the

wo hi KHali le kar lauTe sham ko jholi babu-ji

hum par kitne zulm hue hain kaun batae duniya ko

banduqon mein baqi hai kya ek bhi goli babu-ji

wo bhi apni aankhon mein naKHun hi le kar baiThe the

dikhne mein jin ki surat thi bahut hi bholi babu-ji

ye kah kah kar kal hum ko sari KHushiyan mil jaengi

karte rahte ho kyun hum se rose ThiTholi babu-ji

us mein kuchh TuTe sapne the kuchh aahen kuchh aansu the

jab jab bhi hum ne ye apni jeb TaToli babu-ji

ab ki bar to rakhi par bhi bhi de na saki kuchh bhayya ko

ab us ke sune mathe par sirf hai roli babu-ji

(659) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Pyase HonTon Se Jab Koi Jhil Na Boli Babu-ji In English By Famous Poet Kunwar Bechain. Pyase HonTon Se Jab Koi Jhil Na Boli Babu-ji is written by Kunwar Bechain. Read famous Poem Pyase HonTon Se Jab Koi Jhil Na Boli Babu-ji for youth and Student by Kunwar Bechain. Free Download Pyase HonTon Se Jab Koi Jhil Na Boli Babu-ji in PDF.