In Ke RuKH Par Hijab Rahta Hai

in ke ruKH par hijab rahta hai

jaise mah par sahab rahta hai

wasl ka jab sawal ho un se

bas nahin mein jawab rahta hai

pas rah kar bhi darmiyan apne

fasla be-hisab rahta hai

husn walon se jo wafa chahe

us ka KHana KHarab rahta hai

ham-safar sohni si ho koi

mere KHun mein chanab rahta hai

misl-e-taer hawa mein uDta hun

meri aankhon mein KHwab rahta hai

reg-e-sahra unhen nigalti hai

jin ki rah mein sarab rahta hai

man ki jis ko duaen mil jaen

umr bhar kaamyab rahta hai

jaane kis KHak se bana hun main

ruh mein iztirab rahta hai

uljhe rishton ki talKH uljhan mein

uljha uljha 'sahab' rahta hai

(360) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

In Ke RuKH Par Hijab Rahta Hai In English By Famous Poet Laiq Akbar Sahaab. In Ke RuKH Par Hijab Rahta Hai is written by Laiq Akbar Sahaab. Read famous Poem In Ke RuKH Par Hijab Rahta Hai for youth and Student by Laiq Akbar Sahaab. Free Download In Ke RuKH Par Hijab Rahta Hai in PDF.