Yaadon Ka Lams

nahin tanha nahin hun main

tumhaare sehr ke dhagon ne

mere jism-o-jaan ko bandh rakha hai

hasin yaadon ka shirin lams

meri ruh ko chhu kar

meri aankhon se bahta hai

tum apni ungliyon ki narm poron se

mere hathon ko chhute ho

bahut dhire se

tum apne dahakte lab mere galon pe rakh kar

aansuon ko ponchh dete ho

main apni band aankhon mein

hasin qaus-e-quzah aur titliyon ke rang takti hun

mohabbat ke parinde git gate hain

fazaen gungunati hain

tumhaare bazuon ne mere tan ko

tham rakkha hai

tumhaari sans ki KHushbu

meri sanson mein uljhi hai

tumhein chhuti

tumhein mahsus karti hun

main tum se pyar karti hun

jidhar dekhun tumhi tum ho

har ek pal mein tumhi tum ho

jahan tum ho wahin hun main

nahin tanha nahin hun main

(373) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yaadon Ka Lams In English By Famous Poet Laiq Akbar Sahaab. Yaadon Ka Lams is written by Laiq Akbar Sahaab. Read famous Poem Yaadon Ka Lams for youth and Student by Laiq Akbar Sahaab. Free Download Yaadon Ka Lams in PDF.