Nasib Apna Zara Aazma Ke Dekhenge

nasib apna zara aazma ke dekhenge

charagh-e-shauq hawa mein jala ke dekhenge

machal machal ke kahan tak ye barq girti hai

chaman mein phir se nasheman bana ke dekhenge

falak ko zid hai ki hum ko rula ke dekhega

hamein ye zid hai use muskura ke dekhenge

jhukae baiThe hain ab un ke dar pe sar apna

kabhi to wo hamein aankhen uTha ke dekhenge

mile sakun dil-e-muztar ko wo jagah hai kahan

jahan-e-gham se bhi hum dur ja ke dekhenge

wo bach ke jaenge kab tak nazar se ai 'afat'

hum apne dil mein ab un ko basa ke dekhenge

(411) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Nasib Apna Zara Aazma Ke Dekhenge In English By Famous Poet Lalan Chaudhary. Nasib Apna Zara Aazma Ke Dekhenge is written by Lalan Chaudhary. Read famous Poem Nasib Apna Zara Aazma Ke Dekhenge for youth and Student by Lalan Chaudhary. Free Download Nasib Apna Zara Aazma Ke Dekhenge in PDF.