Sahba-e-nazar Ke Is Chhalkane Ko Kya Kahiye

sahba-e-nazar ke is chhalkane ko kya kahiye

us shoKH ki aankhon ke paimane ko kya kahiye

yun barq ne phunka hai sab KHak hue sapne

barbaad nasheman ke afsane ko kya kahiye

de kar gham-e-dil ab wo bimar-e-mohabbat ko

samjhate hain un ke is samjhane ko kya kahiye

ye soz-e-mohabbat hai jab shama hui raushan

jal jata hai chupke se parwane ko kya kahiye

baiTha hai abhi aa kar uTh kar abhi chal dega

diwana hai diwana diwane ko kya kahiye

hathon mein liye patthar phirte hain mere pichhe

apnon ki ye haalat hai begane ko kya kahiye

rona mujhe aata hai haalat pe teri 'afat'

ghar ki jo ye surat hai virane ko kya kahiye

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahba-e-nazar Ke Is Chhalkane Ko Kya Kahiye In English By Famous Poet Lalan Chaudhary. Sahba-e-nazar Ke Is Chhalkane Ko Kya Kahiye is written by Lalan Chaudhary. Read famous Poem Sahba-e-nazar Ke Is Chhalkane Ko Kya Kahiye for youth and Student by Lalan Chaudhary. Free Download Sahba-e-nazar Ke Is Chhalkane Ko Kya Kahiye in PDF.