Us But Se Mil Kar Is Dil-e-nadan Ko Kya Hua

us but se mil kar is dil-e-nadan ko kya hua

kyun aah-o-zari hai lab-e-KHandan ko kya hua

diwane apna chaak-e-gareban to si chuke

ab tak na aai fasl-e-bahaaran ko kya hua

donon-jahan hain muntazir-e-roz-e-hashr phir

us shoKH chashm-e-fitna-e-dauran ko kya hua

phulon mein koi bu hai na kaliyon mein tazgi

ai andalib rang-e-gulistan ko kya hua

dil mein wahi KHalish hai wahi iztirab hai

chaaragaron ke dawa-e-darman ko kya hua

dil puchhta hai aaj bhi wo rashk-e-nau-bahaar

aaya na us ke wada-o-paiman ko kya hua

karte ho aaj kufr ki baaten jagah jagah

'afat' tumhaare din ko iman ko kya hua

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Us But Se Mil Kar Is Dil-e-nadan Ko Kya Hua In English By Famous Poet Lalan Chaudhary. Us But Se Mil Kar Is Dil-e-nadan Ko Kya Hua is written by Lalan Chaudhary. Read famous Poem Us But Se Mil Kar Is Dil-e-nadan Ko Kya Hua for youth and Student by Lalan Chaudhary. Free Download Us But Se Mil Kar Is Dil-e-nadan Ko Kya Hua in PDF.