Kisi Girdab Ki Phenki PaDi Hai

kisi girdab ki phenki paDi hai

lab-e-sahil jo ek kashti paDi hai

haqiqat mein wahi sidhi paDi hai

mujhe ek chaal jo ulTi paDi hai

safar uljha diye hain us ne sare

mere pairon mein jo tezi paDi hai

wo hangama guzar jata udhar se

magar raste mein KHamoshi paDi hai

mere kanon ki zad par hain manazir

meri aankhon mein sargoshi paDi hai

hua hai qatl bedari ka jab se

ye basti raat din soi paDi hai

ye misra main adhura chhoDta hun

mere baste mein ek taKHti paDi hai

patang kaTne ka bais aur hai kuchh

agarche Dor bhi uljhi paDi hai

zara koyal ka pinjra khul gaya tha

abhi tak KHauf se sahmi paDi hai

mukammal ek duniya aur bhi hai

jo ek duniya ki an-dekhi paDi hai

baDi banjar thi ye kheti 'liyaqat'

magar kuchh roz se sinchi paDi hai

(456) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Girdab Ki Phenki PaDi Hai In English By Famous Poet Liaqat Jafri. Kisi Girdab Ki Phenki PaDi Hai is written by Liaqat Jafri. Read famous Poem Kisi Girdab Ki Phenki PaDi Hai for youth and Student by Liaqat Jafri. Free Download Kisi Girdab Ki Phenki PaDi Hai in PDF.