Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main

lafz ko ilham mani ko sharar samjha tha main

dar-haqiqat aib tha jis ko hunar samjha tha main

raushni thi aankh thi manzar tha phir kuchh bhi na tha

hae kis aashob ko apni nazar samjha tha main

aasmanon ko lapakte hain zamin-zade sabhi

murgh-e-adam-zad ko be-baal-o-par samjha tha main

kun ka afsun-e-azal phunka gaya tha jis ghaDi

mujh ko ab bhi yaad hai bar-e-digar samjha tha main

hai koi? jo mere is lamhe pe girya kar sake

jab mujhe bilkul samajh na thi magar samjha tha main

apne bachchon ki tarah us ne uDaya mujh ko sath

jis hawa-e-tund-KHu ko dar-ba-dar samjha tha main

mujh pe farsuda aqaed ki ajab yalghaar thi

chhoTe chhoTe waswason ko KHair-o-shar samjha tha main

regzar-e-shab-gazida tujh mein ta-hadd-e-nazar

dhup ka aaseb tha jis ko shajar samjha tha main

be-sar-o-samaniyon ki intiha thi 'jafari'

jab dar-o-diwar ko diwar-o-dar samjha tha main

bab-e-hairat jab talak khulta liyaqat-'jafari'

qais ko farhad ko aashufta-sar samjha tha main

(439) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main In English By Famous Poet Liaqat Jafri. Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main is written by Liaqat Jafri. Read famous Poem Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main for youth and Student by Liaqat Jafri. Free Download Lafz Ko Ilham Mani Ko Sharar Samjha Tha Main in PDF.