Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona

mere wajud abhi na-tawan nahin hona

phir is ke baad ye mausam jawan nahin hona

kise KHabar thi ki mahshar ka hoga ye bhi rang

zamin ka hona magar aasman nahin hona

hamein KHabar hai ki wahshat Thikane lagni hai

hamara josh abhi raegan nahin hona

wajud apna hai aur aap tai karenge hum

kahan pe hona hai hum ko kahan nahin hona

ab is ke baad sakat kuchh nahin rahi mujh mein

ab is se aage ka qissa bayan nahin hona

hamari basti ka dukh hai hamin se puchho miyan

ki qabren honi magar aastan nahin hona

maqam-e-shukr hai mere liye ki mere murid

ye tera aaj mera qadr-dan nahin hona

main KHandan ka sab se baDa madari hun

tamasha hota rahega yahan nahin hona

bas itni duri mayassar rahegi donon ko

ki fasla bhi koi darmiyan nahin hona

ajab azab tha ki apne shahr-e-arman mein

hamare waste ja-e-aman nahin hona

ye zulm hai ki munadi ho imtihanon ki

phir is ke baad koi imtihan nahin hona

ajab supurdagi-e-jaan ka marhala tha 'ali'

hamare hone ka hum ko guman nahin hona

(484) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona In English By Famous Poet Liaqat Jafri. Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona is written by Liaqat Jafri. Read famous Poem Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona for youth and Student by Liaqat Jafri. Free Download Mere Wajud Abhi Na-tawan Nahin Hona in PDF.