Musalsal Ashk-bari Kar Raha Tha

musalsal ashk-bari kar raha tha

main apni aabiyari kar raha tha

mujhe wo KHwab phir se dekhna tha

main KHud pe nind tari kar raha tha

kai din tak tha meri dastaras mein

main ab dariya ko jari kar raha tha

mujhe ruk ruk ke panchhi dekhte the

main patthar par sawari kar raha tha

guzarna tha bahut mushkil udhar se

daricha chand-mari kar raha tha

koi atom tha mere jism-o-jaan mein

main jis ki tab-kari kar raha tha

safine sab ke sab gharqab kar ke

samundar aah-o-zari kar raha tha

mujhe fitrat bhi ghisti ja rahi thi

main KHud bhi reg-mari kar raha tha

meri duty thi KHemon ki hifazat

magar main aab-dari kar raha tha

sitare TimTimana ruk gae the

main phir aKHtar-shumari kar raha tha

mujhe bhiDna tha kis wahshi se lekin

main kis pagal se yari kar raha tha

bahut se kaam karne the 'liyaqat'

jinhen main bari bari kar raha tha

(449) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Musalsal Ashk-bari Kar Raha Tha In English By Famous Poet Liaqat Jafri. Musalsal Ashk-bari Kar Raha Tha is written by Liaqat Jafri. Read famous Poem Musalsal Ashk-bari Kar Raha Tha for youth and Student by Liaqat Jafri. Free Download Musalsal Ashk-bari Kar Raha Tha in PDF.