Usi Ke Dam Pe To Ye Dosti Bachi Hui Thi

usi ke dam pe to ye dosti bachi hui thi

hamare bich mein jo ham-sari bachi hui thi

hamare bich mein ek puKHtagi bachi hui thi

bachi hui thi magar aarzi bachi hui thi

usi ke nur se ye raushni bachi hui thi

mere nasib mein jo tirgi bachi hui thi

usi ke dam pe manaya tha us ne jashn mera

ki dushmani mein bhi jo dosti bachi hui thi

kamal ye tha ki hum bahs haar baiThe the

hamare lahje ki shaistagi bachi hui thi

agarche KHatm the rishte paDosiyon wale

hamare bich mein hamsaegi bachi hi thi

badal chuka tha wo apna mizaj mere liye

magar dikhawe ko ek be-ruKHi bachi hui thi

usi ke nur se pur-nur tha ye sara jahan

hamari aankh mein jo raushni bachi hui thi

ab is maqam pe pahuncha diya tha hum ne ishq

junun KHatm tha diwangi bachi hui thi

usi ne joD ke rakkha hua tha rishte ko

hamare bich mein jo barhami bachi hui thi

is ek baat ki sharmindagi ne mar diya

mere wajud teri tishnagi bachi hui thi

ubur kar liya sahra to phir se lauT aae

junun baqi tha aashuftagi bachi hui thi

main gahe-gahe use yaad kar hi leta tha

isi bahane meri zindagi bachi hui thi

usi ke dam pe paDhe bhi gae sune bhi gae

hamare lahje mein jo chashni bachi hui thi

zamane teri hunar-kosh razm ke hathon

main luT chuka tha magar shaeri bachi hui thi

wo kaun raaz tha jis ko bayan kar na sake

wo kaun baat thi jo 'jafari' bachi hui thi

(521) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Usi Ke Dam Pe To Ye Dosti Bachi Hui Thi In English By Famous Poet Liaqat Jafri. Usi Ke Dam Pe To Ye Dosti Bachi Hui Thi is written by Liaqat Jafri. Read famous Poem Usi Ke Dam Pe To Ye Dosti Bachi Hui Thi for youth and Student by Liaqat Jafri. Free Download Usi Ke Dam Pe To Ye Dosti Bachi Hui Thi in PDF.