Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai

ye jo rah rah ke sar-e-dasht hawa chalti hai

kitni achchhi hai magar kitna bura chalti hai

ek aaseb taaqub mein laga rahta hai

main jo rukta hun to phir us ki sada chalti hai

hae wo sans ki rukti hai to kya rukti hai

hae wo aankh ki chalti hai to kya chalti hai

pesh-KHema hai kisi aur nai wahshat ka

ye jo itra ke abhi baad-e-saba chalti hai

tir chalte hain lagatar sawad-e-jaan mein

aur talwar koi ek juda chalti hai

bich dariya ke ajab jashn bapa hai yaro

sath kashti ke koi mauj-e-bala chalti hai

aaj kuchh aur hi manzar hai mere chaaron taraf

ghair-mahsus tariqe se hawa chalti hai

main ba-zahir to hun aasuda pa mere andar

dhime dhime se kahin aah-o-buka chalti hai

yun to bebak bana phirta hai wo yaron mein

us ki aaankhon mein ajab sharm-o-haya chalti hai

mere maula jo rahe sirf kaha tera rahe

mere honTon pe yahi ek dua chalti hai

(486) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai In English By Famous Poet Liaqat Jafri. Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai is written by Liaqat Jafri. Read famous Poem Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai for youth and Student by Liaqat Jafri. Free Download Ye Jo Rah Rah Ke Sar-e-dasht Hawa Chalti Hai in PDF.