Surat-e-mauj Samundar Mein Kahan Se Aaya

surat-e-mauj samundar mein kahan se aaya

main musafir ki tarah ghar mein kahan se aaya

KHwahish-e-KHud-nigari sabz hui kis rut mein

aaina dast-e-sikandar mein kahan se aaya

sar darichon se nikal aae sada sunte hi

ye hunar tere gadagar mein kahan se aaya

markaz-e-gul tha so ab KHak nazar aata hai

ye taghayyur mere bistar mein kahan se aaya

meri raaten bhi siyah din bhi andhere mere

rang ye mere muqaddar mein kahan se aaya

kis ne khincha meri tanhai ka naqsha 'asim'

dasht is shahr ke manzar mein kahan se aaya

(450) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Surat-e-mauj Samundar Mein Kahan Se Aaya In English By Famous Poet Liyaqat Ali Aasim. Surat-e-mauj Samundar Mein Kahan Se Aaya is written by Liyaqat Ali Aasim. Read famous Poem Surat-e-mauj Samundar Mein Kahan Se Aaya for youth and Student by Liyaqat Ali Aasim. Free Download Surat-e-mauj Samundar Mein Kahan Se Aaya in PDF.