Tu Na Tha Teri Tamanna Dekhne Ki Chiz Thi

tu na tha teri tamanna dekhne ki chiz thi

dil na mana warna duniya dekhne ki chiz thi

kya KHabar mere junun ko shahr kyun ras aa gaya

aise aalam mein to sahra dekhne ki chiz thi

tum ko ai aankho kahan rakhta main kunj-e-KHwab mein

husn tha aur husn tanha dekhne ki chiz thi

lams ki lau mein pighalta hujra-e-zat-o-sifat

tum bhi hote to andhera dekhne ki chiz thi

aa gaya mere makan tak aur aa kar rah gaya

barishon ke baad dariya dekhne ki chiz thi

dhup kahti hi rahi main dhup hun main dhup hun

apne sae par bharosa dekhne ki chiz thi

sham ke sae mein jaise peD ka saya mile

mere miTne ka tamasha dekhne ki chiz thi

(437) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Na Tha Teri Tamanna Dekhne Ki Chiz Thi In English By Famous Poet Liyaqat Ali Aasim. Tu Na Tha Teri Tamanna Dekhne Ki Chiz Thi is written by Liyaqat Ali Aasim. Read famous Poem Tu Na Tha Teri Tamanna Dekhne Ki Chiz Thi for youth and Student by Liyaqat Ali Aasim. Free Download Tu Na Tha Teri Tamanna Dekhne Ki Chiz Thi in PDF.