Tu Hi Is Shahr Mein Hai Ek Shanasa Meri

tu hi is shahr mein hai ek shanasa meri

ab kahin le ke mujhe chal shab-e-tanha meri

le gaya sath hi apne wo mere KHwab-o-KHayal

zindagi ab bhi wahi hai tah o baala meri

us ki aankhon mein bhi pahchan ke Dore na mile

dil ki dhaDkan bhi salamat thi sarapa meri

main ki apna hi pata puchh raha hun sab se

kho gai jaane kahan umr-e-guzishta meri

chandni jis ke sarapa mein simaT aai thi

aankh ab bhi hai usi husn ki juya meri

ab bhi ek bhiD hai yusuf ke KHaridaron ki

ab bhi istada hai bazar mein duniya meri

dosh par sar ki jagah turra-e-dastar mile

aankh ab le le koi mujh se KHuda-ya meri

(337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tu Hi Is Shahr Mein Hai Ek Shanasa Meri In English By Famous Poet Lutf-ur-rahman. Tu Hi Is Shahr Mein Hai Ek Shanasa Meri is written by Lutf-ur-rahman. Read famous Poem Tu Hi Is Shahr Mein Hai Ek Shanasa Meri for youth and Student by Lutf-ur-rahman. Free Download Tu Hi Is Shahr Mein Hai Ek Shanasa Meri in PDF.