Yun Nikalti Hai Meri Baat Dahan Se Uske

yun nikalti hai meri baat dahan se us ke

jaise barson ka taaruf ho badan se us ke

yun sar-e-bazm mila TuT ke ek umr pe wo

hum bhi ghabra gae be-saKHta-pan se us ke

us ka lahja hai ki bahti hui naghmon ki nadi

jaise ilham ki barish ho suKHan se us ke

us se mil ke bhi KHala ab bhi wahi ruh mein hai

mutmain dil bhi nahin sarw-o-saman se us ke

KHilqat-e-shahr ne afsane tarashe kya kya

dil tahi-dast hi lauTa hai chaman se us ke

is tarah shahr salibon se sajaya us ne

koi mahfuz nahin dar-o-rasan se us ke

dekhna kis ke lahu se hai charaghan maqtal

ek ugta hua suraj hai kafan se us ke

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun Nikalti Hai Meri Baat Dahan Se Uske In English By Famous Poet Lutf-ur-rahman. Yun Nikalti Hai Meri Baat Dahan Se Uske is written by Lutf-ur-rahman. Read famous Poem Yun Nikalti Hai Meri Baat Dahan Se Uske for youth and Student by Lutf-ur-rahman. Free Download Yun Nikalti Hai Meri Baat Dahan Se Uske in PDF.