Hosh Manzil Kho Ke Manzil Ka Pata Pate Hain Log

hosh manzil kho ke manzil ka pata pate hain log

tark-e-lazzat mein to kuchh lazzat siwa pate hain log

dard ke maron ko hi dard-ashna pate hain log

be-wafaon mein kahan bu-e-wafa pate hain log

nutq qasir hai bayan se wo maza pate hain log

mujh se puchho ishq mein gum ho ke kya pate hain log

baad istighraq hath aai hai bas matlab ki baat

Dub kar gahre mein durr-e-be-baha pate hain log

karte apne se baDon ka hain jo dil se ehtiram

rahte hain KHush yun buzurgon ki dua pate hain log

manzil-e-dar-o-rasan ho ya salib-e-sarfaraaz

apne hi naqsh-e-kaf-e-pa ja-ba-ja pate hain log

bhul kar KHud ko KHuda ki yaad mein hote hain mahw

naKHuda ko bhi bhanwar mein ba-KHuda pate hain log

be-KHudi mein raaz-e-dil kah Dalte hain be-jhijak

pine walon ko nashe mein parsa pate hain log

chhanw ki dhup aur barish mein hai khulti ahmiyat

sar chhupate hain jahan saya zara pate hain log

KHud mein aati hain nazar hirs-o-hawas ki bastiyan

dida-e-bina kabhi jab apne wa pate hain log

lutf-e-KHas us ka samajh kar dil se karte hain qubul

jo bhi dast-e-naz se achchha bura pate hain log

lagta KHali zehn shaitan ki dukan ho jis tarah

ghar mein ghuste hain jo darwaza khula pate hain log

qadr-o-qimat dard-e-dil ki ahl-e-dil se puchhiye

dard ko darman-e-dard-e-la-dawa pate hain log

jauhar-e-zati mohabbat zabt hai us ka shiar

husn-e-KHud-bin ko azal se KHud-numa pate hain log

KHana-e-dil to mohabbat mein raha bagh-o-bahaar

aur ghar honge jinhen wahshat-sara pate hain log

dast-e-aqdas se jo hath aae ghanimat jaaniye

bad-dua ko bhi buzurgon ki dua pate hain log

bhai ko kar de juda bhai se roTi kya ajab

khane mein KHud apne honTon ko juda pate hain log

us ka lutf-e-KHas jo ye istitaat hai nasib

bar-e-gham juz ibn-e-adam kya uTha pate hain log

chandni raaton mein mauj-e-ab-e-ju ke sath sath

'mahir'-e-KHush-gu ko bhi naghma-sara pate hain log

(391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hosh Manzil Kho Ke Manzil Ka Pata Pate Hain Log In English By Famous Poet Maahir Balgiraami. Hosh Manzil Kho Ke Manzil Ka Pata Pate Hain Log is written by Maahir Balgiraami. Read famous Poem Hosh Manzil Kho Ke Manzil Ka Pata Pate Hain Log for youth and Student by Maahir Balgiraami. Free Download Hosh Manzil Kho Ke Manzil Ka Pata Pate Hain Log in PDF.