Kuchh Shama Se Puchho Na Shab-e-tar Se Puchho

kuchh shama se puchho na shab-e-tar se puchho

kya hijr mein biti ye dil-e-zar se puchho

sausan se na kuchh nargis-e-bimar se puchho

taraji-e-gulshan ka sabab KHar se puchho

zahmat na do aise mein na bimar se puchho

kya haal hai ye nabz ki raftar se puchho

kyun dast-e-hinai dil-azar se puchho

rang-e-gul-e-lala lab-o-ruKHsar se puchho

yaro se karo mashwara aghyar se puchho

kab tak wo rahenge khiche talwar se puchho

kirdar se raftar se guftar se puchho

kya kaun hai ye us ki hi mear se puchho

dil se na ye qurbani-o-isar se puchho

aqdar-e-wafa husn ke bazar se puchho

mumkin nahin jo dil mein hai us ko na ugal de

dushman se bhi ek bar agar pyar se puchho

aaina-e-ehsas KHad-o-KHal hasin hain

tasir-e-wafa rang-e-ruKH-e-yar se puchho

rah rah ke maze deti hai kya kya KHalish-e-zaKHm

ye dard-e-mohabbat ke KHaridar se puchho

kah uTThe anal-haq nahin har ek ka kaleja

is zarf ko ahl-e-rasan-o-dar se puchho

jannat ka jumud achchha hai ya kashmakash-e-ishq

ye jurm mohabbat ke gunahgar se puchho

kyun rang uDa kaliyon ka kyun chup hain anadil

gulshan ke jagah-dar ke kirdar se puchho

kahte kise mehrab-e-haram kya hai mah-e-nau

us shoKH ke ye abru-e-KHamdar se puchho

lakhon ka lahu pi ke bhi be dard abhi tak

kyun KHun ki pyasi hai ye talwar se puchho

zanjir-e-mohabbat ki asiri mein hai kya lutf

pech-o-KHam-e-kakul ke giraftar se puchho

danista nahin bande se koi hui taqsir

phir kis liye bargashta hain sarkar se puchho

dil walon se bas puchho hai kya rishta-e-ulfat

tasbih se puchho na ye zunnar se puchho

ek us ke chale jaane se kya haal hai 'mahir'

hasrat-zada ghar ke dar-o-diwar se puchho

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Shama Se Puchho Na Shab-e-tar Se Puchho In English By Famous Poet Maahir Balgiraami. Kuchh Shama Se Puchho Na Shab-e-tar Se Puchho is written by Maahir Balgiraami. Read famous Poem Kuchh Shama Se Puchho Na Shab-e-tar Se Puchho for youth and Student by Maahir Balgiraami. Free Download Kuchh Shama Se Puchho Na Shab-e-tar Se Puchho in PDF.