Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin

ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin

ye dard hai wo dard ki jis ki dawa nahin

insan wo kya ki jis se ho sarzad KHata nahin

izhaar-e-dard-e-dil pe ye ghussa rawa nahin

mehr-o-wafa nahin hain ki sabr-o-raza nahin

hum afqaron ke kisa-e-KHaki mein kya nahin

bimar ke na zaKHm pe zalim namak chhiDak

nargis se chheD achchhi ye baad-e-saba nahin

phir kah ke kya pukarun tujhe jaan-e-man agar

dilbar nahin nigar nahin dilruba nahin

nadan dil ko us se wafa ki umid hai

jo bewafa kisi ka abhi tak hua nahin

be-laus ishq-o-husn-parasti ke ma-siwa

wallah mera aur koi muddaa nahin

dekha dil-e-gharib ko nagin si Das gai

lahra rahi hai zulf ye kali ghaTa nahin

bhule se han bhi munh se nikalta kabhi kabhi

mere har ek sawal pe ye ta-kuja nahin

dukh dard mein hamesha jo sab ka sharik hai

us ke siwa kisi ka mujhe aasra nahin

bedar sone mein bhi hai karti zamir ko

dil ki sada hai ye koi bang-e-dara nahin

aasan nahin mushahida-e-shahid-jamal

nazron se khulne wala ye band-e-qaba nahin

pahle-pahal jo dil ko lagi thi nazar ki choT

bhula gharib aaj bhi wo hadisa nahin

bekar us ke samne izhaar-e-zauq-o-shauq

nadan shai-e-latif se jo aashna nahin

'mahir' na dil kaho use ek laKHt-e-sang hai

har-dam gham-e-habib mein jo mubtala nahin

(415) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin In English By Famous Poet Maahir Balgiraami. Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin is written by Maahir Balgiraami. Read famous Poem Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin for youth and Student by Maahir Balgiraami. Free Download Ulfat Ka Jis Ko Rog Laga Wo Bacha Nahin in PDF.