Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai

tere diwane ne diwar mein dar khola hai

sar-e-aflak naya bab-e-qamar khola hai

Dhal gaya din bhi wahin raat ne Dera Dala

thak ke rahraw ne jahan raKHt-e-safar khola hai

mere chup rahne pe bhi baat wahan tak pahunchi

raaz-e-dil tu ne magar dida-e-tar khola hai

hum kabhi tah se samundar ke hain moti lae

kabhi parcham sar-e-mah sina-sipar khola hai

dar-e-shabnam mah-o-anjum hain kabhi jalwa-farosh

kis ne ganjina ye har sham-o-sahar khola hai

kohkan ban ke kabhi hum ne ba-rang-e-majnun

ishq ka bab ba-andaz-e-digar khola hai

hasad-o-hirs-o-hawas aise kai chor mile

main ne chup-chap kabhi apna jo ghar khola hai

saikDon KHwahishon ki naginen Dasne ko baDhin

hum ne jab bhi dar-e-ganjina-e-zar khola hai

jis ko dekho wahi warafta-e-manzil hai yahan

wah kya maktaba-e-fikr-o-nazar khola hai

kis ko fursat jo sune teri kahani 'mahir'

daftar ek shikwon ka ye tu ne magar khola hai

(402) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai In English By Famous Poet Maahir Balgiraami. Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai is written by Maahir Balgiraami. Read famous Poem Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai for youth and Student by Maahir Balgiraami. Free Download Tere Diwane Ne Diwar Mein Dar Khola Hai in PDF.