Masti-e-do-alam Ek Markaz Pe SimaT Aai

masti-e-do-alam ek markaz pe simaT aai

so kar wo uTha kuchh yun leta hua angDai

pur-shauq nazar meri kuchh dekh ke lalchai

kuchh us ke ishaaron se wo hausla-afzai

yak-laKHt hue ruKHsat sab sabr-o-shakebai

taDpa gai jab aai us samt se purwai

kya us ka asar us par majma ho ki tanhai

diwana to diwana saudai to saudai

parwana hai diwana lau shama ki tharrai

kya rang-e-wafa lai ek pal ki shanasai

farhad gahe majnun ban kar yahan jab aae

rudad-e-junun hum ne har martaba dohrai

meri hi badaulat wo mashhur-e-do-alam hain

ruswai-e-ulfat ye un ke baDe kaam aai

pursan-e-alam hote rasman hi kabhi sahab

zahmat na gai itni bhi aap se farmai

ai baad-e-saba ja kar un se tu hi ye kah de

didar ka KHwahan hun milne ka tamannai

main chup hun magar kahiye kya haal hai ye aaKHir

mathe pe pasina hai aawaz hai bharai

bimar-e-mohabbat ka bas ab hai KHuda-hafiz

kaam aai masiha ki kuchh bhi na masihai

kya wo bhi zamana tha mearaj-e-mohabbat ka

din-raat dar-e-jaanan par nasiya-farsai

chahe jise de zillat chahe jise de izzat

rai ko kare parbat parbat ko kare rai

bas yunhi samjhe ab haal-e-dil-e-afsurda

chingari dahakti ek jis tarah ho kajlai

bazar-e-nigaran ka manzar wo are tauba

sanche mein Dhali har shai ek paikar-e-ranai

gardun pe mah-e-nau phir dikhlai diya 'mahir'

phir id-e-mubarak ki har-su se sada aai

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Masti-e-do-alam Ek Markaz Pe SimaT Aai In English By Famous Poet Maahir Balgiraami. Masti-e-do-alam Ek Markaz Pe SimaT Aai is written by Maahir Balgiraami. Read famous Poem Masti-e-do-alam Ek Markaz Pe SimaT Aai for youth and Student by Maahir Balgiraami. Free Download Masti-e-do-alam Ek Markaz Pe SimaT Aai in PDF.