Lutf-e-hayat-e-nau Hai Har Ek Inqalab Mein

lutf-e-hayat-e-nau hai har ek inqalab mein

hain asl zindagi ke maze pech-o-tab mein

yun to bahut si baaten hain dil ki kitab mein

lekin hai gham ka tazkira har ek bab mein

lag jaen chaar chand abhi aaftab mein

tahlil kar ke dekhe to koi gulab mein

uf ye itab pahle hi KHat ke jawab mein

dhoka mujhe zarur hua intiKHab mein

phir kyun na tu ba-gharq ho jam-e-sharab mein

hai aaftab raqs-kunan mahtab mein

phir bhi magar nigah kisi ki isi pe hai

kya rah gaya hai ab dil-e-KHana-KHarab mein

aashiq KHushi se mar na kahin jae sunte hi

taswir-e-dil hai aai udhar se jawab mein

is tarah gul shagufta hai shabnam se bhig ke

baiTha ho koi jaise koi naha kar sharab mein

tar-damani mein aae nazar hum hi pesh pesh

aamal-e-zindagi ke hisab-o-kitab mein

nafrat ka bhi jawab mohabbat se dijiye

likkha yahi hai dil ki muqaddas kitab mein

anmol dil sa gauhar-e-nayab dekhiye

tohfa hai pesh KHidmat-e-ali-janab mein

jannat ka tazkira kabhi ku-e-sanam ki baat

donon jahan ka lutf hai jam-e-sharab mein

is fitna-za ko kaun zamane mein munh lagae

bad-bu-e-shar hai aa rahi nam-e-sharab mein

ahd-e-jumud jite-ji be-maut ki hai maut

hai lutf zindagi ka to bas inqalab mein

allah kah ke yaad karen ya sanam kahen

rahne den husn ko yunhi lekin hijab mein

zabt-e-gham-e-wafa ka rahe har ghaDi KHayal

pahla sabaq yahi hai mohabbat ke bab mein

'mahir' gham-e-habib ka allah bhala kare

aksar ghazal hui hai isi pech-o-tab mein

(433) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Lutf-e-hayat-e-nau Hai Har Ek Inqalab Mein In English By Famous Poet Maahir Balgiraami. Lutf-e-hayat-e-nau Hai Har Ek Inqalab Mein is written by Maahir Balgiraami. Read famous Poem Lutf-e-hayat-e-nau Hai Har Ek Inqalab Mein for youth and Student by Maahir Balgiraami. Free Download Lutf-e-hayat-e-nau Hai Har Ek Inqalab Mein in PDF.