Ai Dil-e-zar Likho Jaanib-e-jaanan Kaghaz

ai dil-e-zar likho jaanib-e-jaanan kaghaz

haal ka likhte hain fuqara su-e-sultan kaghaz

marja-e-gabr-o-musalman hai wo but nam-e-KHuda

bhejte hain use hindu o musalman kaghaz

un ka mazmun bhi albatta huwaida hoga

ab jo aane lage us shoKH ko pinhan kaghaz

haif hai subh-e-watan se na hua warid-e-waqt

hech gahe ba-sar-e-sham-e-ghariban kaghaz

kisi ka bhi na jawab aaya hamein ghurbat mein

lakh hum likhe watan ko su-e-yaran kaghaz

wasf afshan ka hai kis sim-badan ke likhna

kaghzi hum ko hai darkar zar-afshan kaghaz

is qadar hum ne giran kar diye likh likh ke kise

warna kis martaba the shahr mein arzan kaghaz

likhte hum to KHat-e-mahbub ko har dam nau-KHat

likhne dete jo hamein dida-e-giryan kaghaz

mujh se diwane ko kya KHat wo pari-zad likhe

likhte albatta hain insan su-e-insan kaghaz

bhejta hun main kisi rashk-e-gulistan ki taraf

mera pahunchae magar murgh-e-gulistan kaghaz

bhejta hun main kisi sani-e-bilqis ke saub

mera le jae magar murgh-e-sulaiman kaghaz

kya magar bhul gae bais-e-jamiyyat-e-KHwesh

hum ko bheje na adam se jo azizan kaghaz

kahte hain nisf mulaqat hai maktub bhi yar

kabhi likkho to su-e-matam-e-nalan kaghaz

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Dil-e-zar Likho Jaanib-e-jaanan Kaghaz In English By Famous Poet Maatam Fazl Mohammad. Ai Dil-e-zar Likho Jaanib-e-jaanan Kaghaz is written by Maatam Fazl Mohammad. Read famous Poem Ai Dil-e-zar Likho Jaanib-e-jaanan Kaghaz for youth and Student by Maatam Fazl Mohammad. Free Download Ai Dil-e-zar Likho Jaanib-e-jaanan Kaghaz in PDF.