Bas Tamanna Hai Ishq-e-maula Mein

bas tamanna hai ishq-e-maula mein

ki marun main yahi tamanna mein

ishq-e-KHuban nahin hai aisi shai

bandh kar rakhiye jis ko puDiya mein

ruKH-e-afshan mein tere aalam-e-nur

nam qamar mein hai nam surayya mein

yad-e-baiza ka hai KHayal aata

dekh mehndi tere kaf-e-pa mein

tere bimar-e-hijr ai mahbub

na to moti mein hain na ahya mein

wahdahu-la-sharik-la hai tu

tujh sa duniya mein hai na uqba mein

tujh ko kyun kar kahen hum harjai

nur to jalwa-gar hai har ja mein

kya kahun din ko kis qadar roya

raat dilbar ko dekh ruya mein

ishq lagte hi ho gaya malum

haal-e-majnun ishq-e-laila mein

maraz-e-ishq husn-e-KHuban ka

marg darman hai nam hukama mein

hasil-ul-amr hum hue badnam

ishq husn-e-butan-e-zeba mein

ruKH-e-yusuf se ruKH mushabah hai

lab hain milte lab-e-masiha mein

aab-e-baran se gir na pae madad

KHak paD jae chashm-e-dariya mein

ye dua haq se hai mera 'matam'

dafn ho karbala-mualla mein

(369) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bas Tamanna Hai Ishq-e-maula Mein In English By Famous Poet Maatam Fazl Mohammad. Bas Tamanna Hai Ishq-e-maula Mein is written by Maatam Fazl Mohammad. Read famous Poem Bas Tamanna Hai Ishq-e-maula Mein for youth and Student by Maatam Fazl Mohammad. Free Download Bas Tamanna Hai Ishq-e-maula Mein in PDF.