Dudman-e-dard Ki Shadi Hain Hum

dudman-e-dard ki shadi hain hum

KHandan-e-gham ki aabaadi hain hum

apni shumi se hui shadi ghami

shayad aabaadi ki barbaadi hain hum

apne aab-e-chashm se sarsabz hain

zeb-e-dasht-o-zinat-e-wadi hain hum

darmiyan-e-zindagi-o-marg hain

qabil-e-said o na sayyaadi hain hum

zaKHm-ha-e-hijr mein kya kya sahe

kushtagan-e-tegh-e-fauladi hain hum

banda-e-pirem ya-rab az azab

murid-e-altaf-e-azadi hain hum

hum nahin kahte muqallid hain tere

tere dar ke kalb-e-qilladi hain hum

dad kar ai dad-gar ushshaq-kush

tere aage tujh se fariyaadi hain hum

KHun-baha mashuq se lete nahin

aashiq-e-insaf-e-be-dadi hain hum

duKHtar-e-raz ko koi hum se kahe

tere to haqdar damadi hain hum

hum gunahgar-e-janab-e-ishq hain

abd-e-ubbaadi na auradi hain hum

ai azizan tark-e-ishq-e-husn mein

sang par jun naqsh-e-bahzadi hain hum

la-walad kahte hain hum ko la-walad

sher se az-bas-ki auladi hain hum

aaqibat KHaki hain KHaki honge ne

aatishi-o-ahi-o-baadi hain hum

fath-baghi ne nasar-puri hain balki

sindh mein bhi haidrabaadi hain hum

kya kahen kya the kahan se aae hain

misl-e-mazmun-e-nau iradi hain hum

phir bhi wo irad karne sakta hai

jis ke awwal bar ijadi hain hum

mast-e-ahmad se 'matam' hain shakar*

ne sumudi qaum ne aadi hain hum

(405) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dudman-e-dard Ki Shadi Hain Hum In English By Famous Poet Maatam Fazl Mohammad. Dudman-e-dard Ki Shadi Hain Hum is written by Maatam Fazl Mohammad. Read famous Poem Dudman-e-dard Ki Shadi Hain Hum for youth and Student by Maatam Fazl Mohammad. Free Download Dudman-e-dard Ki Shadi Hain Hum in PDF.