Ila Ya Shah-e-KHuban Kijiye Shad

ila ya shah-e-KHuban kijiye shad

hue jate hain aashiq gham se barbaad

hamein tum yaad ho har lahza lekin

hamari bhi kabhi to kijiye yaad

giraftar-e-bala baalae tu yar

gham-e-dauran se hain jun sarw aazad

agar laila hai tu majnun hain hum

wagar shirin hai tu hum hain farhad

wahi irad kar sakta hai aaKHir

kiya hai jis ne awwal hum ko ijad

kisi shai ko durust-o-chust daem

na dekha dar-jahan-e-sust buniyaad

sher hai ashk-e-chashm-o-laKHt-e-dil se

uThaya chahiye ham-ab o ham-zad

gul-e-tar KHar se samjhen batar-tar

jo dekhen andaliban rote sayyaad

gulu-e-gul to pakDe aaKHir-kar

gae kab raegan bulbul ke fariyaad

abas karte ho bahr-e-tark takrar

azizo hun main duKHt-e-raz ka damad

nahin jis rose miad aamad-e-yar

wahi hum jaante hain roz-e-miad

bahut farzana the diwane hum ko

banae shoKH tiflan-e-pari-zad

hamal mirriKH mashuqon ne mera

kiya hai sar juda az tegh-e-be-dad

hazaran shukr mulk-e-sindh mein bhi

mera maskan hai shahr-e-hyderabad

janab haidar-e-safdar se 'matam'

talab auqat-e-mushkil mein kar imdad

(388) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ila Ya Shah-e-KHuban Kijiye Shad In English By Famous Poet Maatam Fazl Mohammad. Ila Ya Shah-e-KHuban Kijiye Shad is written by Maatam Fazl Mohammad. Read famous Poem Ila Ya Shah-e-KHuban Kijiye Shad for youth and Student by Maatam Fazl Mohammad. Free Download Ila Ya Shah-e-KHuban Kijiye Shad in PDF.