Aa Gaya Dil Jo Kahin Aur Hi Surat Hogi

aa gaya dil jo kahin aur hi surat hogi

log dekhenge tamasha jo mohabbat hogi

dil-lagi tark-e-mohabbat nahin taqsir muaf

hote hote mere qabu mein tabiat hogi

un ke aane ki KHabar sun ke to ye haal hua

jab wo aaenge to phir kya meri haalat hogi

TukDe kar Dale koi us ke to main bhi KHush hun

dil na hoga na meri jaan mohabbat hogi

wo chhupaya karen is baat se kya hota hai

aap sar chaDh ke pukaregi jo ulfat hogi

ye na farmao shab-e-hijr kaTegi kyunkar

tum ko kya kaam jo hogi meri haalat hogi

mar Dala mujhe be-maut baDa kaam kiya

KHub tarif teri ai shab-e-furqat hogi

ai dil-e-zar maza dekh liya ulfat ka

hum na kahte the ki is kaam mein zillat hogi

ye bhi kuchh baat hai phir wasl na ho ai 'jauhar'

ranj rahat se hua ranj se rahat hogi

(274) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aa Gaya Dil Jo Kahin Aur Hi Surat Hogi In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Aa Gaya Dil Jo Kahin Aur Hi Surat Hogi is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Aa Gaya Dil Jo Kahin Aur Hi Surat Hogi for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Aa Gaya Dil Jo Kahin Aur Hi Surat Hogi in PDF.