Husn Par Zeba Nahin Ye Lan-tarani Aap Ki

husn par zeba nahin ye lan-tarani aap ki

chaar din ki chandni hai naujawani aap ki

hum bhi kuchh munh se jo kah baiThen to phir kitni rahe

dekhiye achchhi nahin ye bad-zabani aap ki

kuchh samajh mein haal ye aata nahin hairan hun

aaj hai kaisi ye mujh par mehrbani aap ki

baz aae hum ye apna-ap chhalla lijiye

har kisi ke hath mein hai ab nishani aap ki

rah mein bhi dekh kar munh pher lete hain huzur

aaj kal hai kis qadar na-mehrbani aap ki

do ghaDi ek rang par qaem nahin husn-e-shabab

kya musawwir khinche taswir-e-jawani aap ki

aab-e-haiwan hai kahin zahr-e-halahal hai kahin

talKH-goi aap ki shirin-zabani aap ki

KHwab mein hum ko na aane dete to hum jaante

ki raqibon ne ye kaisi pasbani aap ki

apne marne ka nahin gham ranj hai is baat ka

aaj ungli se utarti hai nishani aap ki

haal-e-dil sunte nahin ye kah ke KHush kar dete hain

phir kabhi fursat mein sun lenge kahani aap ki

hum ko ye daulat kabhi milti to hum bhi jaante

hogi jis ke waste hogi jawani aap ki

(358) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Par Zeba Nahin Ye Lan-tarani Aap Ki In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Husn Par Zeba Nahin Ye Lan-tarani Aap Ki is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Husn Par Zeba Nahin Ye Lan-tarani Aap Ki for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Husn Par Zeba Nahin Ye Lan-tarani Aap Ki in PDF.