Kaha Mano Mohabbat Mein Zarar Hai

kaha mano mohabbat mein zarar hai

tabiat ko sambhaalo dil kidhar hai

KHuda jaane kaha ghairon se kya aaj

na wo dil hai na wo un ki nazar hai

ajab manzil pe mujh ko ishq laya

na rasta hai na koi rahbar hai

wo kahe ko yahan aaenge ai dil

yunhi kahte hain sab jhuTi KHabar hai

na aao is taraf ai hazrat-e-ishq

chale jao gharibon ka ye ghar hai

(306) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaha Mano Mohabbat Mein Zarar Hai In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Kaha Mano Mohabbat Mein Zarar Hai is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Kaha Mano Mohabbat Mein Zarar Hai for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Kaha Mano Mohabbat Mein Zarar Hai in PDF.