Kaisa Hi Dost Ho Na Kahe Raaz-e-dil Koi

kaisa hi dost ho na kahe raaz-e-dil koi

nikli jo baat munh se to phaili jahan mein

sach sach kaho ye baat banana nahin pasand

kya kah rahe the ghair abhi chupke se kan mein

puchha hai haal-e-zar to sun lo KHata-muaf

kuchh baat mere honTon mein hai kuchh zaban mein

aashiq se puchhiye na sar-e-bazm haal-e-dil

parde ki baat sunte hain chupke se kan mein

furqat mein kya bataun ki din hai ki raat hai

aankhon ko sujhta nahin rone ke dhyan mein

qasr-e-jahan hai tere faqiron ka jhonpaDa

mahlon se baDh ke chain hai apne makan mein

do din ki zindagi mein jo chahe koi kare

rah jati hai bhalai burai jahan mein

(375) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaisa Hi Dost Ho Na Kahe Raaz-e-dil Koi In English By Famous Poet Madhav Ram Jauhar. Kaisa Hi Dost Ho Na Kahe Raaz-e-dil Koi is written by Madhav Ram Jauhar. Read famous Poem Kaisa Hi Dost Ho Na Kahe Raaz-e-dil Koi for youth and Student by Madhav Ram Jauhar. Free Download Kaisa Hi Dost Ho Na Kahe Raaz-e-dil Koi in PDF.