Be-zabanon Ki Kahani Ki Zaban Hote Rahe

be-zabanon ki kahani ki zaban hote rahe

hum to yaro barha ashk-e-rawan hote rahe

dil pe chahe jitne KHanjar ho lage ai jaan-e-jaan

us gali mein hum sarasar raegan hote rahe

jam aisa Dal saqi zahr sa ab pis kar

aaj us ko dekh sab jalwe ayan hote rahe

jaan maqtal par luTa di be-sabab 'KHuddar' ne

jurm us ke lan-tarani se bayan hote rahe

is nagar mein be-asar baada-kashi 'KHuddar' ki

wo na jaane kin ghamon mein na-tawan hote rahe

(337) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-zabanon Ki Kahani Ki Zaban Hote Rahe In English By Famous Poet Madhukar Jha Khuddar. Be-zabanon Ki Kahani Ki Zaban Hote Rahe is written by Madhukar Jha Khuddar. Read famous Poem Be-zabanon Ki Kahani Ki Zaban Hote Rahe for youth and Student by Madhukar Jha Khuddar. Free Download Be-zabanon Ki Kahani Ki Zaban Hote Rahe in PDF.