Bhulna Chahta Kahan Hun Main

bhulna chahta kahan hun main

dard hai aur bas rawan hun main

aaj kuchh yaad aa rahi ho yun

tum zamin aur aasman hun main

kya hua jo hisab manga hai

kya ghamon ki koi dukan hun main

raushni kuchh charagh ki lao

jis jagah dafn hun nihan hun main

din dikhae zamane ne aise

ab nahin mir-e-karwan hun main

sadgi hai ada mein us ki jo

ishq mein yar raegan hun main

zat 'KHuddar' ki dikhi jab jab

shairi ka hasin saman hun main

(368) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bhulna Chahta Kahan Hun Main In English By Famous Poet Madhukar Jha Khuddar. Bhulna Chahta Kahan Hun Main is written by Madhukar Jha Khuddar. Read famous Poem Bhulna Chahta Kahan Hun Main for youth and Student by Madhukar Jha Khuddar. Free Download Bhulna Chahta Kahan Hun Main in PDF.