Kinare ToD Ke Bahar Nikal Gaya Dariya

kinare toD ke bahar nikal gaya dariya

lakir chhoD ke ye kis taraf chala dariya

ab is se pahle samundar se ja ke mil pata

KHud apni pyas mein hi gharq ho gaya dariya

mere badan ka samundar to KHushk hota gaya

rawan dawan hi raha meri soch ka dariya

use kabhi na samundar ki justuju hoti

tahon mein apni utar kar jo dekhta dariya

KHulus hai ye to us ka kahan ki majburi

rihai ka hai samundar ko rasta dariya

use main dur hi se dekhta raha 'sani'

jo aaj pani mein utra hun to khula dariya

(332) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kinare ToD Ke Bahar Nikal Gaya Dariya In English By Famous Poet Mahender Kumar Sani. Kinare ToD Ke Bahar Nikal Gaya Dariya is written by Mahender Kumar Sani. Read famous Poem Kinare ToD Ke Bahar Nikal Gaya Dariya for youth and Student by Mahender Kumar Sani. Free Download Kinare ToD Ke Bahar Nikal Gaya Dariya in PDF.