Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main

raat din gardish mein hain lekin paDa rahta hun main

kaam kya mera yahan hai sochta rahta hun main

bahar andar ke jahanon se mila mujh ko faragh

tisri duniya ke chakkar kaTta rahta hun main

ek be-KHaufi mujhe le aai sahil ke qarib

aa ke ab nazdik sahil ke Dara rahta hun main

jaane kaisi raushni thi kar gai andha mujhe

is bhayanak tirgi mein bhi bujha rahta hun main

kar diya kis ne mera aaina-e-dil gard gard

aks hun kis ka hawa se puchhta rahta hun main

ek jangal sa uga hai mere tan ke chaaron or

aur apne man ke andar zard sa rahta hun main

ek nuqte se ubharti hai ye sari kaenat

ek nuqte par simaTta phailta rahta hun main

raushni mein lafz ke tahlil ho jaane se qabl

ek KHala paDta hai jis mein ghumta rahta hun main

sans ki lai par thirakti hai koi azli tarang

rang-e-'sani' dekh kar hairat-zada rahta hun main

(306) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main In English By Famous Poet Mahender Kumar Sani. Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main is written by Mahender Kumar Sani. Read famous Poem Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main for youth and Student by Mahender Kumar Sani. Free Download Raat Din Gardish Mein Hain Lekin PaDa Rahta Hun Main in PDF.