Sahra Se Naddi Ke Safar Mein Rawan Thi KHak

sahra se naddi ke safar mein rawan thi KHak

yani apni asl mein ek imkan thi KHak

aisi taza-kari is bosida-waraq par

meri shakl mein aane se pahle kahan thi KHak

hawa uDai us ne ek ek aalam ki

ye us daur ki baat hai jab ki jawan thi KHak

ek KHushbu ki zad mein tha us ka har raqs

aur isi KHushbu ke liye makan thi KHak

us mein jitni girhen thin sab aab ki thin

warna apne rang mein to aasan thi KHak

(325) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sahra Se Naddi Ke Safar Mein Rawan Thi KHak In English By Famous Poet Mahender Kumar Sani. Sahra Se Naddi Ke Safar Mein Rawan Thi KHak is written by Mahender Kumar Sani. Read famous Poem Sahra Se Naddi Ke Safar Mein Rawan Thi KHak for youth and Student by Mahender Kumar Sani. Free Download Sahra Se Naddi Ke Safar Mein Rawan Thi KHak in PDF.