Ek Lafz-e-mohabbat Ke Bane Lakh Fasane

ek lafz-e-mohabbat ke bane lakh fasane

tohmat ke bahane kabhi shohrat ke bahane

kis ko ye KHabar thi ki bikhar jaenge pal mein

aankhon ne saja rakkhe the jo KHwab suhane

ek zaKHm-e-judai hai ki nasur bana hai

karta hun tujhe yaad isi gham ke bahane

aqdar ka fuqdan hawasnaki-o-wahshat

sab parde haTa rakkhe hain ab sharm-o-haya ne

furqat ki shab-e-karb ke jate hue lamho

kab lauT ke aaoge mujhe phir se rulane

bhane lagi jab dil ko zara bazm ki raunaq

tanhai meri aa gai phir mujh ko manane

wo gul hun jo Thahraya gaya tang-e-bahaaran

pamal kiya KHud hi jise baad-e-saba ne

shakir hun main har haal mein raazi-ba-raza hun

taskin ki daulat mujhe baKHshi hai KHuda ne

aazar-e-gham-e-dil ko na hona tha shifayab

kuchh kaam kiya 'chand' dawa ne na dua ne

(489) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Lafz-e-mohabbat Ke Bane Lakh Fasane In English By Famous Poet Mahendra Partap Chand. Ek Lafz-e-mohabbat Ke Bane Lakh Fasane is written by Mahendra Partap Chand. Read famous Poem Ek Lafz-e-mohabbat Ke Bane Lakh Fasane for youth and Student by Mahendra Partap Chand. Free Download Ek Lafz-e-mohabbat Ke Bane Lakh Fasane in PDF.