Fareb-e-nau Ke Bhanwar Mein Utarta Hai Mujhe

fareb-e-nau ke bhanwar mein utarta hai mujhe

ye kaun pichhle pahar phir pukarta hai mujhe

shikasta-haal hun ranj-o-alam se chur hun main

nigah-e-lutf se ab kya sanwarta hai mujhe

nazar ye apni chaDhata hun jis qadar us ko

usi qadar wo nazar se utarta hai mujhe

main kab ka Dub chuka hun use KHabar hi nahin

jo sahilon se abhi tak pukarta hai mujhe

usi ki yaad hai meri hayat ka hasil

jo be-niyaz taghaful se marta hai mujhe

main sulh-o-amn ka shaidai hun mere rahbar

fasad-o-fitna pe tu kyun ubhaarta hai mujhe

mila hai muddaton ke baad kuchh gharaz hogi

kis inkisar se dekho nihaarta hai mujhe

use main KHas karam mein shumar karta hun

jo tu marahil-e-gham se guzarta hai mujhe

wo chahta hai guhar-yab ho ke ubhrun main

samundaron ki jo tah tak utarta hai mujhe

punam ki raat ka ye faiz nur-afshan 'chand'

kisi hasin KHata par ubhaarta hai mujhe

(371) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Fareb-e-nau Ke Bhanwar Mein Utarta Hai Mujhe In English By Famous Poet Mahendra Partap Chand. Fareb-e-nau Ke Bhanwar Mein Utarta Hai Mujhe is written by Mahendra Partap Chand. Read famous Poem Fareb-e-nau Ke Bhanwar Mein Utarta Hai Mujhe for youth and Student by Mahendra Partap Chand. Free Download Fareb-e-nau Ke Bhanwar Mein Utarta Hai Mujhe in PDF.