Jazba-e-shauq Ko Is Taur Ubhaara Jae

jazba-e-shauq ko is taur ubhaara jae

hum jidhar jaen udhar un ka nazara jae

aapsi rishton ki KHushbu ko koi nam na do

is taqaddus ko na kaghaz par utara jae

saikDon nam tere aur hain be-nam bhi tu

kaun se nam se ab tujh ko pukara jae

raqs karti hai lahakti hai ajab masti mein

kashti-e-dil ke bhanwar mein jo utara jae

meri ghairat ko kisi taur gawara hi nahin

tang-dasti mein bhi hath apna pasara jae

dil ke soe hue armanon ne angDai li

zindagi aa tujhe shishe mein utara jae

subh-e-raushan ko to aana hai wo aaegi zarur

is bharose pe shab-e-gham ko guzara jae

aaina dekh ke nahaq ye bigaDna kaisa

gard aaine pe hai us ko utara jae

apne purkhon ki inayat ki tazim karo

ye hai wo qarz jo sadiyon na utara jae

aaj ke daur mein wajib hai yahi 'chand' ki hum

sath den us ka jidhar waqt ka dhaara jae

(366) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazba-e-shauq Ko Is Taur Ubhaara Jae In English By Famous Poet Mahendra Partap Chand. Jazba-e-shauq Ko Is Taur Ubhaara Jae is written by Mahendra Partap Chand. Read famous Poem Jazba-e-shauq Ko Is Taur Ubhaara Jae for youth and Student by Mahendra Partap Chand. Free Download Jazba-e-shauq Ko Is Taur Ubhaara Jae in PDF.