Aain-e-asiri Ke Ye Mear Nae Hain

aain-e-asiri ke ye mear nae hain

zindan to wahi hai dar-o-diwar nae hain

iKHlas makinon ka to dekha nahin ab tak

han shahr ke sab kucha-o-bazar nae hain

dushman se to kuchh KHauf na ab hai na kabhi tha

Dar ye hai ki ab mere taraf-dar nae hain

baqi nahin pahli si wo taqdis-e-mohabbat

ab husn naya us ke parastar nae hain

pahchan liya hum ne tumhein rah-numao

baaten wahi pairaya-e-izhaar nae hain

sahma hua sannaTa hai maKHdush fazaen

ab dekh ke chalega ye aasar nae hain

bazar ki raunaq wahi pahli si hai 'kausar'

itna hai ki is bar KHaridar nae hain

(386) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aain-e-asiri Ke Ye Mear Nae Hain In English By Famous Poet Maher Chand Kausar. Aain-e-asiri Ke Ye Mear Nae Hain is written by Maher Chand Kausar. Read famous Poem Aain-e-asiri Ke Ye Mear Nae Hain for youth and Student by Maher Chand Kausar. Free Download Aain-e-asiri Ke Ye Mear Nae Hain in PDF.