Aapas Mein Koi Rabt Ka Imkan Bhi Na Tha

aapas mein koi rabt ka imkan bhi na tha

donon taraf ye marhala aasan bhi na tha

chaaragaron ki pursish-e-paiham ke bawajud

main mutmain na tha to pareshan bhi na tha

pahlu badal badal ke wo karta tha guftugu

main sab samajh raha tha ki anjaan bhi na tha

baat us ki dil mein mere utarti chali gai

wo ajnabi tha aur mera mehman bhi na tha

kyun mujh ko mezbani ka mauqa na mil saka

main is qadar to be-sar-o-saman bhi na tha

wo kitna sard-mehr tha malum ho gaya

wada-KHilaf ho ke pasheman bhi na tha

'kausar' amir-e-shahr se milne mein uzr kyun

kuchh faeda nahin tha to nuqsan bhi na tha

(351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aapas Mein Koi Rabt Ka Imkan Bhi Na Tha In English By Famous Poet Maher Chand Kausar. Aapas Mein Koi Rabt Ka Imkan Bhi Na Tha is written by Maher Chand Kausar. Read famous Poem Aapas Mein Koi Rabt Ka Imkan Bhi Na Tha for youth and Student by Maher Chand Kausar. Free Download Aapas Mein Koi Rabt Ka Imkan Bhi Na Tha in PDF.