Dekhta Bhi Hai Dekhta Bhi Nahin

dekhta bhi hai dekhta bhi nahin

jaise wo mujh ko jaanta bhi nahin

kis tarah aaj KHud ko pahchanun

mere ghar mein to aaina bhi nahin

dhak thi sare shahr mein jis ki

ab use koi puchhta bhi nahin

pichhe muDne mein KHauf-e-ruswai

aage jaane ka rasta bhi nahin

rose KHabron mein nam aata hai

shahr mein koi jaanta bhi nahin

ghair se puchhta hai haal mera

main bulaun to bolta bhi nahin

us ko nikla hun DhunDne 'kausar'

jis ka koi ata-pata bhi nahin

(405) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhta Bhi Hai Dekhta Bhi Nahin In English By Famous Poet Maher Chand Kausar. Dekhta Bhi Hai Dekhta Bhi Nahin is written by Maher Chand Kausar. Read famous Poem Dekhta Bhi Hai Dekhta Bhi Nahin for youth and Student by Maher Chand Kausar. Free Download Dekhta Bhi Hai Dekhta Bhi Nahin in PDF.