Na Jaane Kaun Hai Dekha Hua Sa Lagta Hai

na jaane kaun hai dekha hua sa lagta hai

ek ajnabi hai magar aashna sa lagta hai

tazad-e-surat-o-sirat pe ab yaqin aaya

wo bewafa hai magar ba-wafa sa lagta hai

garan na guzra tha aisa ye intizar kabhi

ab ek lamha bhi sabr-azma sa lagta hai

unhen umid ho tamil ki to kyun kar ho

ki un ka hukm hi kuchh iltija sa lagta hai

ye phul sada-o-be-rang hi sahi lekin

tumhaare joDe mein kya KHushnuma sa lagta hai

wo bhai bhai hain rahte hain ek hi ghar mein

magar diyon mein baDa fasla sa lagta hai

wo tum wo main wo lab-e-ju wo raat aur wo chand

ye ek KHwab hi kitna bhala sa lagta hai

na mujh mein wasf na KHubi na kuchh hunar phir bhi

tamam shahr mera ham-nawa sa lagta hai

ye aaj shahr mein kya baat ho gai 'kausar'

jise bhi dekhiye sahma hua sa lagta hai

(397) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Jaane Kaun Hai Dekha Hua Sa Lagta Hai In English By Famous Poet Maher Chand Kausar. Na Jaane Kaun Hai Dekha Hua Sa Lagta Hai is written by Maher Chand Kausar. Read famous Poem Na Jaane Kaun Hai Dekha Hua Sa Lagta Hai for youth and Student by Maher Chand Kausar. Free Download Na Jaane Kaun Hai Dekha Hua Sa Lagta Hai in PDF.