Phir Mujhe Hausla-e-arz-o-bayan Mil Jae

phir mujhe hausla-e-arz-o-bayan mil jae

kuchh dinon ke liye mujh ko bhi zaban mil jae

samna hoga to kuchh kah na sakenge us se

jaane us bhiD mein wo shoKH kahan mil jae

ajnabi ganw mein phirta hun ye ummid liye

chhanw darkar hai thoDi si jahan mil jae

kya tamasha hai ki main qasd-e-nasheman le kar

ghar se niklun to mujhe barq-e-tapan mil jae

wahin aa jata hai nakaami-e-qismat ka KHayal

sud ki dil mein tamanna ho ziyan mil jae

kash qasid ko mera haal sunane ke liye

chand lamhon ke liye meri zaban mil jae

mere ashaar hun maqbul-e-zamana 'kausar'

mujh ko aisa kahin andaz-e-bayan mil jae

(378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Mujhe Hausla-e-arz-o-bayan Mil Jae In English By Famous Poet Maher Chand Kausar. Phir Mujhe Hausla-e-arz-o-bayan Mil Jae is written by Maher Chand Kausar. Read famous Poem Phir Mujhe Hausla-e-arz-o-bayan Mil Jae for youth and Student by Maher Chand Kausar. Free Download Phir Mujhe Hausla-e-arz-o-bayan Mil Jae in PDF.