Ahmaq Nahin Ki Samjhen Bura Waqt Tal Gaya

ahmaq nahin ki samjhen bura waqt Tal gaya

kuchh rose ke liye jo ye mausam badal gaya

yak-laKHt hanste log ye barham kyun ho gae

shayad meri zaban se kuchh sach nikal gaya

raazi the hum to jaan bhi dene ke waste

kam-zarf le ke dil hi hamara machal gaya

kya bolne ke hak ka uThaega faeda

jo bhuk mein zaban hi apni nigal gaya

mangega jaedad mein hissa ye ek roz

filhaal chahe le ke khilaune bahal gaya

ehsanmand chahe hamara na ho koi

par hum gire to sara zamana sambhal gaya

kanTon pe ehtiyat se chalta tha aadmi

in chamchamate farshon pe 'jaanib' phisal gaya

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ahmaq Nahin Ki Samjhen Bura Waqt Tal Gaya In English By Famous Poet Mahesh Janib. Ahmaq Nahin Ki Samjhen Bura Waqt Tal Gaya is written by Mahesh Janib. Read famous Poem Ahmaq Nahin Ki Samjhen Bura Waqt Tal Gaya for youth and Student by Mahesh Janib. Free Download Ahmaq Nahin Ki Samjhen Bura Waqt Tal Gaya in PDF.