Ho Raha Hai Kya Jahan Mein Ek Nazar Mat Dekhiye

ho raha hai kya jahan mein ek nazar mat dekhiye

pahle panne par hai jo bas wo KHabar mat dekhiye

duniya ko tabdil karne ke hain is mein KHwab bas

inqilabi hun mera raKHt-e-safar mat dekhiye

pyar se bigDe bhi hain kuchh log ye mana magar

ho dawa lazim to is ke bad-asar mat dekhiye

kya ujaDta ja raha hai is pe bhi rakkhen nazar

sirf baste inT patthar ke nagar mat dekhiye

dekhna hai ye ki bilkul Thik ho apni disha

kitni bhi chahe ho pur-KHam rahguzar mat dekhiye

sharm se mar jaoge insan hain gar aap ek

kis tarah karte hain ye muflis guzar mat dekhiye

chahe ruk jao kahin bhi tan do tambu kahin

pichhe muD muD kar kabhi 'jaanib' magar mat dekhiye

(414) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ho Raha Hai Kya Jahan Mein Ek Nazar Mat Dekhiye In English By Famous Poet Mahesh Janib. Ho Raha Hai Kya Jahan Mein Ek Nazar Mat Dekhiye is written by Mahesh Janib. Read famous Poem Ho Raha Hai Kya Jahan Mein Ek Nazar Mat Dekhiye for youth and Student by Mahesh Janib. Free Download Ho Raha Hai Kya Jahan Mein Ek Nazar Mat Dekhiye in PDF.