Dagh-e-dil Apna Kisi Tarah Dikhae Na Bane

dagh-e-dil apna kisi tarah dikhae na bane

aur chahun jo chhupana to chhupae na bane

daman-e-dil mein wo jab chahen laga den ek aag

hum agar chahen bujhana to bujhae na bane

tum ko manzur nahin apne taghaful se gurez

hum pe ban aai hai aisi ki banae na bane

uf re ye tira-nasibi ye andhere ka farogh

dip aankhon ka jalaun to jalae na bane

hae ye fitrat-e-husn uf wo mizaj-e-nazuk

naz uThana bhi jo chahun to uThae na bane

soch ke dijiye diwane ko daman ki hawa

ye bhi mumkin hai ki phir hosh mein aae na bane

naz hai taqat-e-guftar pe 'mahir' ko magar

dil pe guzri hai kuchh aisi ki sunae na bane

(371) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dagh-e-dil Apna Kisi Tarah Dikhae Na Bane In English By Famous Poet Mahir Aarwi. Dagh-e-dil Apna Kisi Tarah Dikhae Na Bane is written by Mahir Aarwi. Read famous Poem Dagh-e-dil Apna Kisi Tarah Dikhae Na Bane for youth and Student by Mahir Aarwi. Free Download Dagh-e-dil Apna Kisi Tarah Dikhae Na Bane in PDF.