Dar Aap Ka Hum ChhoD Ke Ab Jaen Kahan Aur

dar aap ka hum chhoD ke ab jaen kahan aur

hai tark-e-talluq mein KHud apna hi ziyan aur

aasan uThana na tha kuchh bar-e-KHilafat

juz mere uThata bhi koi bar-e-garan aur

dil hai ki koi chaub-e-tar-o-taza-o-shadab

jab aag sulagti hai to uThta hai dhuan aur

hai fasl-e-bahaaran mein chaman shoala-ba-daman

ab dekhiye kya hota hai andaz-e-KHizan aur

aazadi-e-guftar-o-KHayalat ka izhaar

barbaadi ke ab is se bhi baDh ke hain nishan aur

jab shisha-e-dil par mere zangar hai aata

kya kahiye chamakta hai mera dagh-e-nihan aur

main shaKH-e-samar-dar ke manind hun 'mahir'

milta hun kisi se to wo karta hai guman aur

(390) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dar Aap Ka Hum ChhoD Ke Ab Jaen Kahan Aur In English By Famous Poet Mahir Aarwi. Dar Aap Ka Hum ChhoD Ke Ab Jaen Kahan Aur is written by Mahir Aarwi. Read famous Poem Dar Aap Ka Hum ChhoD Ke Ab Jaen Kahan Aur for youth and Student by Mahir Aarwi. Free Download Dar Aap Ka Hum ChhoD Ke Ab Jaen Kahan Aur in PDF.