Kab Ashk-e-shab-e-hijr Samundar Na Hua Tha

kab ashk-e-shab-e-hijr samundar na hua tha

han qatra-e-naisan abhi gauhar na hua tha

pur-nur hua KHana-e-dil un ke qadam se

is se kabhi pahle ye munawwar na hua tha

zulfen to sanwarti hi rahin barha lekin

aaina kabhi ruKH ke barabar na hua tha

ham-zad ki surat rahi ta-umr asiri

us se jo raha hona muqaddar na hua tha

milna tha na milta hai sukun dahr mein mujh ko

hasil wo hua ab jo mayassar na hua tha

milti hi kahan chhanw mujhe wadi-e-gham mein

saya bhi mera qad ke barabar na hua tha

dawa-e-suKHan karna to ek baat hai 'mahir'

ab tak koi shair tera ham-sar na hua tha

(351) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Ashk-e-shab-e-hijr Samundar Na Hua Tha In English By Famous Poet Mahir Aarwi. Kab Ashk-e-shab-e-hijr Samundar Na Hua Tha is written by Mahir Aarwi. Read famous Poem Kab Ashk-e-shab-e-hijr Samundar Na Hua Tha for youth and Student by Mahir Aarwi. Free Download Kab Ashk-e-shab-e-hijr Samundar Na Hua Tha in PDF.