Aawara Aawara KHushbu Hum Dono

aawara aawara KHushbu hum dono

jaane kis din honge yaksu hum donon

taza taza phulon ki rut kahti hai

kar len kuchh tafrih lab-e-ju hum donon

phir kya shai hai mane sath nibhane mein

rakhte to hain yaksan KHushbu hum donon

main chalta hun dil par aql-o-hosh pe to

jis ka toD nahin wo jadu hum donon

apni apni pahchanon ke shaidai

tariki mein uDte jugnu hum donon

Takrae to TuTenge miT jaenge

apne aap pe rakkhen qabu hum donon

rasmon ke bandhan se bazu khulte to

aazadi se uDte har-su hum donon

us mein rah kar us se bachna mushkil hai

duniya nawak afgan aahu hum donon

taswiron ka album lao dekhen to

kitne the KHush-qamat KHush-ru hum donon

(422) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aawara Aawara KHushbu Hum Dono In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Aawara Aawara KHushbu Hum Dono is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Aawara Aawara KHushbu Hum Dono for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Aawara Aawara KHushbu Hum Dono in PDF.