Aazadi Mein Rahne Wale Dekho Kaise Rahte Hain

aazadi mein rahne wale dekho kaise rahte hain

apne sae se Darte hain chaunke chaunke rahte hain

hare-bhare peDon ke upar jin ke Thor Thikane the

ab wo panchhi shor-e-zamin par dhup mein jalte rahte hain

Takraate rahte hain aksar patthar jaise logon se

hum dil wale kirchi kirchi aaine se rahte hain

gahrai se moti lane walon ka ye haal hua

sahil ki aaghosh mein baiThe lahren ginte rahte hain

lau ki zad mein rahne walo un ki or na dekho tum

baadal ki hamrahi mein jo aksar bhige rahte hain

aaKHir aaKHir KHud bhi zaKHmi ho kar hote hain bad-haal

awwal awwal zaKHmon ke saudagar achchhe rahte hain

kaise kaise maile ho kar wapas aate hain 'mahir'

log nikalte hain jab ghar se ujle ujle rahte hain

(438) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aazadi Mein Rahne Wale Dekho Kaise Rahte Hain In English By Famous Poet Mahir Abdul Hayee. Aazadi Mein Rahne Wale Dekho Kaise Rahte Hain is written by Mahir Abdul Hayee. Read famous Poem Aazadi Mein Rahne Wale Dekho Kaise Rahte Hain for youth and Student by Mahir Abdul Hayee. Free Download Aazadi Mein Rahne Wale Dekho Kaise Rahte Hain in PDF.